Dil Udaas Hai(Ghazal) Poem by xxxx yyyy

Dil Udaas Hai(Ghazal)

Kaisi ye arzoo hai kaisi ye pyaas hai
tanhayeeon ka aalam dil bhi udaas hai
hai chaahton mein koi shayad basa hua
deedar ki tamanna hothon pe pyaas hai
mil jayega yakeenan umeed hai abhi
wo door hai to kya ghum dil mein to aas hai


wo khwab mein jo aaye ghabra ke uth gaya
aisa laga ke koi mere aaspaas hai


kaise dikhaaun usko dil ki kitaab main
hai harf harf sooona maila libaas hai

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Written on 22.02.2012 at Muzaffarnagar(UP)
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success