Ghar (Ghazal) Poem by xxxx yyyy

Ghar (Ghazal)

Rating: 2.0


Hamne aisa ghar dekha hai
aukhal bheetar sir dekha hai
sookha chulha khali bartan
chhat ko bhi charmar dekha hai
jab chalti hai tez hawa to
aankhon main ek darr dekha hai
jab dil mein ho mail na koi
masjid bhi mandir dekha hai
jo ghairon ka ghum baante hai
Soona usko tarr dekha hai

POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Inspired from road side life
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success