Do Pidit-Ek Natak Poem by Rohan Bendre

Do Pidit-Ek Natak

(Dwar Khulta Hain.)

Asifa- Khuli hawa Mein Sans Lekar Main Fhula Na Samai. Aaj Ki Nyay Vyavastha ke Sath Asha
Ki Nayi Kiran Lai.

Yuvati- Apke Kathan se hoon main Asahmat Kyonki aaj bhi Ghatit ho rahi hain Harkat.

Asifa - Aap Jo Kah rahi hain usme hain tathyata. Is Drishya ko Nyay se parichit karne ki hain
Avashyakta.


Yuvati- Dekar Mithai ka pralobhan utpidit Karte the mera tan.

(Asifa haan mein haan milate huye.)

Aur is samay Samanya manav ka yogdan mangta hain yeh shan.


Yuvati- haan hoon main mansik rup se asthir karo un krur logon ko karagriha main dandit karo phir.

Asifa- atyavashyak hain manav ki aisi durghatnaon ke vishay main vichardharna. Aise krur atyachariyon ko kathor dandit karne ki karo yojna.


Yuvati- Yadi is vishay ko andekha karne ka hain tumhara nirnay. Apko badalna chahiye kyonki apka yogdan atyavashyak hain is samay.

Asifa- Bahut hi bada gunha hain jurm karna aur use bhi bada gunha hain gunha ko jante huye bhi
Chup rahna.

Yuvati- karke is vishay mein sambhashan un krur atyachariyon ko dandit karne ka lo prun.


Asifa- yadi is vishay mein rahti hain barkarar tumhari nishkriyata to aur bhi durghatnaon ka
punragman ki hogi shakyata.

Yuvati- Tumhari Stabdhata aivam nishkriyata arthat.

Asifa- Gunhegaron ko gunha karne mein saralta aivam Sahayta.

Yuvati- parantu samanya manav kaise honge sammelit Krupaya karo marg se parichit.

Asifa- Ho jaon nyay dilane hetu sammelit banao ek samuh aur deke apne vichar ho jaon ekatrit.

Yuvati- Yadi yeh ghatna hoti hain tumhare netron samaksh karo ghatna ko rokne ka prayas pratyaksh.


Asifa- Jab bhi aisa koi vyakti jo lagta hain sandehajanak atishigra karke ucchit karmachariyon ko
Suchit ho jaon nyay dilane ke pratikriya mein prerit.

Yuvati- Yadi kisi khatre ki hoti hain anubhuti dekar ucchit vyaktiyon ko purva kalpana banaiye nyay
ek sambhavna.

Asifa- karke samajik upkarno ka uchit upyog nyay se parichit karenge log.

Yuvati- badi sahayta hogi aise atyachariyon ki pehchan karane mein prashikshan.

Asifa- tab nayay se parichit hoga shan.

Dono- Aisi Durghatna ka ghatit hona ka arth hain atyavashyak hain tumhari upasthiti jab nyay
dilane hetu sekdo ki tadat mein nyay dilane hetu log honge upasthit tab nyay se hoga yeh drishya
parichit ekatrit hokar karo un atyachariyon ko kathor dandit.

PALGHAR MEIN MANASIK RUP SE ASTHIR YUVATI KA BALATKAR KARNE WALON KO
KATHOR DANDIT KARNE MEIN SAHAYTA KIJIYE

Tuesday, May 28, 2019
Topic(s) of this poem: justice,play,unity
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success