Ek Dost Poem by Pushpa P Parjiea

Ek Dost

Rating: 5.0

Kisi ko inttzar ho tera bhi

Kisi ko aitbar ho tera bhi

Aie dile nadan ho koi karishma ki...

Ek dost eisa mil jay Jo ho rahgeer tera bhi

Chale sath sath har gham ke badlon ke chhatne tak

aa jayen khushike lamhe Tab tak

Harpal dilo dimag par uske liye sneh chha jaye.

rahe tasavvur uska jo na rahe pal bhar bhi

dur kahin udasi or virane ke lamhon me Jo meri

muskurahat ka sabab ban jaye

Swarth se pareho apanapan jisme or

galti hote hi mera Dada bhi Jo ban jay

Dante Etna ki mujhe Rona hi aa jaye

Jaise hi rou mai WO manane chale aaye

bas ek eisa sachha dost kahin se mujhe mil jaye.

Wednesday, September 18, 2019
Topic(s) of this poem: abc
COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 21 September 2019

Har koyi aise dost ki talaash karta hai jo guide bhi ho, bhai bhi ho, sahaara bhi ho aur sabse badh kar sahi arthon mein apna bhi ho. Bahut sundar kavita. Rachna ke liye apka hardik dhanywad,

1 0 Reply
Pushpa P Parjiea 22 September 2019

Thanks alott bhai... Sahi kaha apne .

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success