Ek Pyaara Sa Intezaar... Poem by Tapashya Das Sinha

Ek Pyaara Sa Intezaar...

Rating: 2.8


Hai mujhe v kisika intezar…
Jab hoga mujhe v kabhi
Kisise pyaar…
Hoga wo,
Jo karega mere jeevan me
Khushiyon ki bouchar…
Jiske dil me ho bus pyaar hi pyaar...

Na jane kaun hoga wo?
Hai na koi anuman…
Ho sabse alag,
Bus hai yehi ek armaan…
Aasman jaisa ho uska dil,
Sath na chode,
Chahe aye kitni v mushkil…



Sagar se v gehera ho jiska saath,
Bin bole samjhe meri har baat…
Hoga wo kio khass…
Jo kabhi na tode mera vishwass…
Mere armano ka kare kadr,
Kare hamesha mere
Mata-pita aur pure parivar ka
Tahe dil se samman aur adar…

Ho ek aisa insaan,
Jo na kare kavi bhed-bhav
Ho koi garib ya kisan,
Koi Sikh, koi Isayi
Ho Hindu ya Musalman,
Rahe har ek k liye bus pyar aur samman…



Ho sacchai bhara savera,
Jo bane mera jeene ka sahara…
Hoga wo mera sapno ka rajkumar,
Jiske paas ho preet ka daulat beshumar…
Unchi ho uski imandari ka imarat,
Suraj se v ujla ho
Uska shaksiyat…
Hoga wo mere sapno ka darpan
Jise meri ibadat kare
Har lamha aarpan…
Hai bus ek dua,
Aaye kabhi na hamare beach
Duri ya bichran…

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success