Ghazal Poem by Suhail Kakorvi

Ghazal

Rating: 5.0

Ghazal,
Husn ka tarze sukhan jis waqt apnata hoon main
jane mehfil ban ke khud par naaz farmata hoon main

main ata karta hoon ajzaye doaalm ko hayaat
Faiz ke badal barange yaar barsata hoon main

mere dil ke aks se roshan hai saari kainaat
Dil ziyae husne janana se chamkata hoon main

Bas khayale khatire saaqi hai meri zindagi
Wo jo chahe badao paimana ban jaata hoon main

jab kabhi taqdeer meri chhorti hai mera saath
uske hathon ki lakeeron ko chura lata hoon main

Chahe jitna bhi ghame duniya se afsurda ho dil
Tum nazar ke saamne aate ho khil jata hoon main

Husn mere tarze janbaazi bhi hota hai fida
Ishq ke toofaan se is tarah takraata hoon main

Main hoon raanai se wabasta kuch is darja Suhail
Jaise jaise zulf lehraati hai lehrata hoon main

Yarze sukhan=kehne ka tareeqa, naaz =garv, Ata karna=dena, ajzaye doaalam=donon sansaron ke tatva, hayaat =jeevan, Faiz=kripa, barange yaar=prem adarsh ki tarah, aks=chaya, ziyae husne janana=preyasi ke chehre ka prakaash, khayale khatire saaqi=sharaab pilane wale ki marzi, Badao paimana=sharaab aor uska pyala, Afsurda=ghamgeen, Tarze jaanbaazi=jaan dene ki mudra, Ranai=saundarya, wabasta=sanlagn

Saturday, February 14, 2015
Topic(s) of this poem: spiritual
COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 14 February 2015

This poem is a wonderful treat to any lover of Urdu poetry, Words are beautiful, expressions are beautiful and the treatment according to Bah'r has been done exquisitely. Congratulations. Thanks for sharing with us: Chahe jitna bhi ghame duniya se afsurda ho dil / Tum nazar ke saamne aate ho khil jata hoon main. (Last line of the Ghazal needs some correction) .

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success