Ghazal - Ham Band Kabhi Mashghala E Gham Na Karenge. Poem by Dr. Alim Usmani

Ghazal - Ham Band Kabhi Mashghala E Gham Na Karenge.

Ham band kabhi mashghala e gham na karenge.
Ham tark kabhi sunnate Adam na karenge.

Bharkegi wo ab aag ke mar jaenge dono.
lav di ke charaghon ki agar kam na karenge.

Uljhan ki koi bat na phir shahr mo hogi.
Imsal agar zulf wo barham na karenge.

Ghairon se shikayat hi nahin maqsad-e-hasti.
Kya ham kabhi apnon ko munazzam na karenge.

Afsardah labon ko main sikhata hun tabassum.
Mahsoos kabhi log mra gham na karenge.

Ham zakhme mohabbat ke maze jan gae hain.
Ham khwab me bhi khwahishe marham na karenge.

Ek ek ko mere sare masail ka pata hai.
Lagta hai ke ab kuchh mere hamdam na karenge.

Darpesh hame aur faraiz bhi hain jana.
Ham teri mohabbat ko muqaddam na karenge.

Ansu hain ALEEM asl me tauheene mohabbat.
Ham bhool ke daman ko kabhi nam na karenge

Sunday, March 29, 2015
Topic(s) of this poem: love,love and art,love and life,urdu
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Dr. Alim Usmani

Dr. Alim Usmani

Qasba Kursi
Close
Error Success