Ghazal - Mashraban Hum Mohabbat Ke Darvesh Hain. Poem by Dr. Alim Usmani

Ghazal - Mashraban Hum Mohabbat Ke Darvesh Hain.

Mashraban hum mohabbat ke darvesh hain kab se zulfon ke jangal me rahte hain hum.
Arizon ki tajalli se sarshar hain pak mangon ke sandal me rahte hain hum.

Hum se bezar rahti hain betabiya'n hum to taqseem karte hain madhoshiya'n.
Gahri jheelon ko hum bakhshate hain suku'n mast ankhon ke kajal me rahte hain hum.

Yaas ke nam se sakht bezar hain, hum udasi ki gardan pe talwar hain.
Shughl hai arzoo ki chaman bandiyan har tamanna ki konpal me rahte hain hum.

Karfarma hami dil ke rishton me hain, jalwafarma hami ma ke ashkon me hain.
Wo dopatte jo phaile'n dua ke lie un dopatton ke anchal me rahte hain ham.

Ae ALEEM ap hamko na dhoondhen yahan, in hareeson ke bazar me hum kahan. Wo jo bagh-e-qanaat hai chaliye wahan, sabr ki shakh ke phal me rahte hain hum.

Ghazal - Mashraban Hum Mohabbat Ke Darvesh Hain.
Friday, March 13, 2015
Topic(s) of this poem: love,poem,urdu
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Dr. Alim Usmani

Dr. Alim Usmani

Qasba Kursi
Close
Error Success