Ghazal - Meraj E Kamal Poem by Dr. Alim Usmani

Ghazal - Meraj E Kamal

Meraj-e-kamal-e-naaz pe jab ehsas-e-jamal aa jata hai,
Dariya se bagole uthte hain, Sahra me ubaal aa jata hai.

Do chaar nashemann jalne se kuch harj nahi yu'n to lekin,
Bulbul ki foghan-e-paiham se gulshan pe zawal aa jata hai.

Unko ye khushi hai hans hans kar main unki jafayein sahta hun.
Main khush hun ki unko waqt-e-sitam mera bhi khayal aa jata hai.

Dil mera jinhone toda tha wo puch rahe hain ab mujhse
Wo kaise mitaya jata hai sheeshe me jo baal aa jata hai.

Ho'n laakh ALEEM ab lutf-o-karam bhoolenge na unke jor-o-sitam,
Mushkil se safayi hoti hai jab ji me malal aa jata hai.

Ghazal - Meraj E Kamal
Friday, March 13, 2015
Topic(s) of this poem: poem,urdu
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
urdu ghazal
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Dr. Alim Usmani

Dr. Alim Usmani

Qasba Kursi
Close
Error Success