*guzar Gayi Ramzan* Poem by Aarifa Almas

*guzar Gayi Ramzan*

Lo agaya shaitaan, hogaya aelaan..
Ab hojao be faham, ke guzar gayi Ramzan..

Quran ko rakhdo almari mei, chahe jo ho Anjaam..
Ab hojao anjaan, ke guzar gayi Ramzan..

Aakhirath ki kya fikr, karlo tum aaraam..
Ibadath hogi agle saal, ke guzar gayi Ramzan..

Bas farz adaa karlo, aur de do muskaan..
Ke rabb ka qarz adaa hogaya, guzar gayi Ramzan..

Bhool jao ke ekdin jana hai shamshaan..
Jo hoga sunsaan, ke guzar gayi Ramzan..

Kya kahoge meh'shar mei jab poochega RAHMAN! ! !
Kya ibadath tum par farz thi sirf Maahe RAMZAN? ? ?

Jaag jao ab toh, umar badhti jaarahi hai Ae naadaan insaan..
Kya pata agle saal Ramzan toh aaye magar na rahe Hazrat e insaan..

Utha lo quran aur jaano uske ahkaam..
Hai Rabb ka yeh kalaam, samjho uska farmaan..

Zikr o astaghfaar se karlo paldhaa bhari subah shaam..
Ab Shaitaan se ladna hai ke guzar gayi Ramzan..

Maut se pehle karlo tayyaar woh saare saamaan..
Ke jisse Aakhirath ka safar hojaaye bas aasaan..

Wahan na milenge ibadath ke aise mauqe aur  muqaam..
Na Hoga kaaba aur na hogi yeh mubarak Ramzan..

Karlo RABB ko raazi jo hai bada hi MEHERBAAN..
Jannat ke baaghon ko karlo tum bhi apne naam..

Thursday, June 13, 2019
Topic(s) of this poem: ramadan
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Simple description about how we lack offering prayers and change after ramzan..
COMMENTS OF THE POEM
Sufiyan Waasi 16 July 2021

Wow. Just wow. Still cant figure out that how these writings are mashallah so beautiful. Mashallah

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success