Jaal Raha Hun Mein...... Poem by mithilesh yadav

Jaal Raha Hun Mein......

Jaal rha hun mein, ye aag humari hai.....
Prakash dekho ya rakh, ye nazar tumhari hai.....

Unchaiyan aasmanon ki kadmon sey naap lengey hum....
Jeet samjho ya haar, ye samjh tumhari hai...

Toofan saarwaton sey, Garaj key takrana hai....
Chot Dekh humari, ye nadani tumhari hai...

Samar mein hain jo hum, to humssa veer kaun hai....
Kamjoriyan mil jaye humari, ye kismat tumhari hai....

Ye sankh nadh, ye nagarey, Ye ranbhoomi, Ye angarey...
Ye mana ki sab tumsey hain, Andaaz tumharey hain.....
Khamosiyan Chikhtin si, jubaan humarey hai....

Surkh lal hai Mitti, Fixa mein rang kesari hai...
Dil mein mohabbat, Nazar mein Jajbaat humarey hain....
Yudh Hi Sahi Jara dil sey kaam lena, Mezbaan ho tum, hum mehman tumharey hain hain....

Thursday, March 31, 2016
Topic(s) of this poem: emotions
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success