Junune Ishq Poem by Suhail Kakorvi

Junune Ishq

Na ibtidaye junun hai na intihaye junun
Bas aik fitna kahiye jise adaye junun

Wo gul ki tarah se hansta hai meri halat par
Irada ab hai koi aur gul khilaye junun

Kamaal ye hai khirad bhi talaash karti hai
Baraye sijdaye tazeem naqshe paye junun

ye apni apni tabiyat hai kya kiya jaye
Tumhen rulaye junu aur mujhe hansaye junun

wajoode ashiqo mashooq se jahan roshan
wo noore wasl hai jisse ki jagmagaye junun

Asar ye hota hai sooraj bhi jaag uthta hai
ki chhed karti hai ghunchon se jab sabaye junun

Wo mujhse martabaye ishq men baland rahe
Khuda kare wo chala jaye mawaraye junun

Jo tujhko chhuta hai anmol ho hi jaata hai
tere wajood men hai yaar keemiyaye junun

Suhail usko bhi hai aitarafe jazbaye shauq
Wo ban gaya hai mubarak ho dilrubae junun

Junun=Prem me mansik vichipta, Ibtida=shuru, intiha=ant, Fitna=aatank, Gul khilana=shararat karna, Khirad=vivek, baraye=hetu, sajdaye tazeem=shradha se sar jhukana, naqshe pa=Padh chinh, ghunche=kaiyan=saba=subah ki hawa, martaba=star, Mawara=upar uthna, keemiya=paaras, aitraaf=sweekriti, jazbaye shauq=Prem,

Wednesday, May 20, 2015
Topic(s) of this poem: philosophical
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success