Karma Poem by Rishi Thakkar

Karma

Rating: 5.0

Aaj dhoop thodi si main tumko deta hun, kyunki kal tum bhi kisi ka sooraj thhe
Aaj khushiyan behisaab deta hun, kyunki kal kisi ko bewajah khushi tumne bhi baati thhi,
Har pal tumhare antaraatma ke saaye mein main
Har kriya main main har parinaam main
Aaj sacche ho to kiss baat par darr
Dil keheta hai acche ho to fir kisi aur ki taariff na milne ka kya ghum
Galat kiya hai kisi ke saath to sorry insaan chalata hai
Main to wo kaala saaya hoon jo har pal galtiyon ka ehsaas karata hai
Gaane kavitayein anek mere baare mein likhta insaan
Jaisi karni waisi bharni, jaise ko taisa iss jaise kuch farmaan
Meri sacchi taariff wohi kar sakta hai,
Jo apni antaraatma se jooda rehta hai,
Jisko apni galti ka gyaat hai jisse apne acche karmo pe vishvaas hai
Samay sada ek sa nahi rehta, Na hi rehte ek se insaan ke karma
Bus ishwar ke rang manch par EK KATPUTLI hai hum.
Darkhwast har insaan se bas yehi karna
Jo karo yaad rakhna dekhta hai ISHWAR AUR KARMA.

Wednesday, April 19, 2017
Topic(s) of this poem: karma
COMMENTS OF THE POEM
Abhilasha Bhatt 22 April 2017

Karma.....it has its own ways for balancing each and every thing.....loved it :)

0 0 Reply
Rishi Thakkar 24 April 2017

yes it truly does, perhaps the most honest thing of the world is KARMA :)

0 0
Kumarmani Mahakul 19 April 2017

As per action there is reaction. We are bound to enjoy our fruits of karma. Giving happiness to others we reap happiness and giving sorrow we reap sorrows. Law of karma is truth and this exists in this universe. This is eternal law and souls enjoy their fruits. A beautiful poem is very well composed and shared...10

0 0 Reply
Rishi Thakkar 19 April 2017

Thank you so much sir :) I'm glad you liked it

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success