Kavi Ki Lekhini Poem by ramesh rai

Kavi Ki Lekhini

Kavi Ki Lekhini me chhipi huyee hai
Ant SE anant tak ki vangmay dhara
Jo aviral pravahit hoti rahati hai.

Kavi Ki Lekhini SE mukharit hoti hai
Phulon ki manjariyon ki muskan.

Kavi Ki Lekhini SE udbhasit hoti hai
Bhawaron ka jeebhar ka machalna

Kavi Ki Lekhini SE prakashit hoti hai
Suraj ke kan kan me Prakash

Kavi Ki Lekhini SE tarangit hoti hai
Sangeet ke susupta sapta swar ki dhara

Kavi Ki Lekhini SE alokit hoti hai
Brahmand ke kan kan ki kaya

Kavi Ki Lekhini me basi huyee hai
Anant taro ki muskan

Kavi Ki Lekhini SE uchchhwasit hoti hai
Jivan maran ke madhur gaan

Kavi Ki Lekhini prabhanjit karti hai
Srishti ka har ek sopan

Kavi Ki Lekhini ki alko me
Bandha huaa hai jivan ka har shringar

Kavi Ki Lekhini SE pravartit hoti hai
Samay ka har ek aayam.

Thursday, September 3, 2015
Topic(s) of this poem: humor
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success