Bahut khwaish thi milne ki unse
wo aaye toh jarur par thahre nhi...
Bahut khwaish thi najre milane ki unse,
wo pass baithe toh jarur par nigahein kisi aur par thi....
Bahut khwaish thi dil me kuchh kahne ki unse,
wo muskuraye toh jarur par baatein nhi ki...
Bahut khwaish thi unke saath chalne ki,
wo kuchh door saath chale toh jarur par haath nhi thama.....
Bahut khwaish thi pyar jatane ki unse,
wo pass aaye toh jarur par khamoshi rhi darmiyan..
Bahut khwaish thi apna bnane ki unhe,
wo dil ke kareeb toh rahe par faasle darmiyan rahe.....
Lovely poem on how love makes one incapable of expressing oneself.... very truely depicted.10++++
nice feelings for love- all willing will be fulfilled if your love and feeling is true for beloved or lover O' ROSE
Sirf alfaazon ko yakjaa kiyaa hai aapne. Urdu shayari tedii kheer hai. Mohabbat kii ye mehviyat kyaa kahoon / Voh aaye to apnii khabar kucch nahiin
thank u sir....