Kuch Dil Se.. Poem by abhilasha bhatt

Kuch Dil Se..

1. Zakhm dene wala hi aksar afsos Kia krte hain
Apne die dard ki wajah pucha karte hain..

2.Dard dene walon ne dard dia dawa naa di
Thukraane walon ne thukraya wajah naa di..

3.Bebas hain hum bekasi k zamane main
Khush hain hum dusron k hamse na milne k bahane main..

4.Akhir main gam hi zindagi main kam aata hai
Khushi to dehleez par gam k kadmon k nishaan dekh kar wapas laut jata hai..

5.Na khuda manga na khuda ki khudai mangi thi
Na humsafar manga tha na usse judaai mangi thi..

6.Kbhi kbhi sach bhi juth main shumar ho jata hai
Kbhi kbhi juth bhi sach k daaman main chup jaata hai..

Sunday, January 3, 2016
Topic(s) of this poem: emotions,heart,life
COMMENTS OF THE POEM
Anshul Bhatnagar 03 January 2016

darr hai is gham ke samandar me kho na jao tum (isiliye likhta hu) darr hai apne aap ko tod na jao tum (isiliye likhta hu) zindagi me gham se lekar paap tak hote dekhe hain mene zulm kiye bhi aur sahe bhi hain mene dard milte zarur par malham lagata nahi koi isme zamane ki khata nahi, zamana hi hai waisa jub galat tha tab sambhala nahi kisine jub sahi hua tab samajh me aya sahi ka saath deta nahi koi jo jeetta hai saath hai uske har koi isiliye me likhta hu, apni baaten andaz me apne kehta hu

0 0 Reply
Abhilasha Bhatt 03 January 2016

Chalna bhi khud hota Thokar khana bhi khud hota hai Sambhalna bhi khud hota hai Sath deta nhi koi bhi is jahaan main Har safar main manzil ki raahi akela hi hota hai..thank you for the sharing..good one :)

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success