Kuchh Baatein Karni Hai Khud Se Kuchh Khud Ko Samjhana Hai Poem by Ashish Singh

Kuchh Baatein Karni Hai Khud Se Kuchh Khud Ko Samjhana Hai

Rating: 5.0

Kuchh Baatein

Kuchh baatein karni hai khud se
Kuchh khud ko samjhana hai
Kyu kisi se shikayat karni
Pata hai bura ye zamana hai

Kahte hai koi akela nai hota is duniya me
Fir kyu mai yu bhadhakta sa ek awara hu
Kahin rukti hai nazre koi lagta hai achha
Fir yaad aati hai baatein purani
Yahan koi nai hai sachha..

Log aayenge paas tumhare kuchh pal ke liye
Kuchh aayenge dene sath aur kuchh chhal ke liye
Jindagi jina hai toh logo ko samajhna hoga
Pyar ke badle kavi pyar to kavi nafrat milega
Sab kuchh yahan sahna hoga....
Agar nai sahna to nikal jao ek safar par
Jahan khud ka hi din aur khud ka hi sham hoga
Par yaad rakhna
Jab aayegi raat to fir apna Rukh modna hoga
Agar khud ko sambhal liye tum
To safar thoda aasan hoga...

Kuchh baatein karni hai khud se
Kuchh khud ko samjhana hai....
Kyu kisi se shikayat karni
Pata hai bura ye zamana hai.....

Haan hai mujhe v kisi ki jarurat
Par ye kahne se darta hu
Iss matlabi duniya me v
kisi ko khone se darta hu....
Dil mera v chahta hai koi aaye
Aur gale se mujhe lagaye
Mere bechain dil ki dhadkano me
Ek Sukoon ki aas jagaye...
Ho jaye wo yu meri aur mai uska
Sunne me lagta hai jaise ye khel ho bachpan ka...
Pata hai sab kuchh iss dil ko
Fir v gustakhi karta hai
Lakh samjhao isko
Fir v kisi aur ke liye dhadakta hai...
Man mera dil mera dhadkan meri
Fir v kyu ye kisi aur ke liye tarasta hai

Kuchh baatein karni hai khud se
Kuchh khud ko samjhana hai
Kyu kisi se shikayat karni
Pata hai bura ye zamana hai......

© Mγѕτєяιουѕ ᴡʀɪᴛᴇR✍️

Kuchh Baatein Karni Hai Khud Se Kuchh Khud Ko Samjhana Hai
COMMENTS OF THE POEM
Anamika Singh 07 February 2023

Kyu baatein karni hai khud se aur kyu khud ko samjhana hai...... Mana ye duniya buri hai par kya jaruri kisi se dil lagana hai

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success