Kuchh Kahaniyan Rah Gain Poem by Pushpa P Parjiea

Kuchh Kahaniyan Rah Gain

Rating: 5.0

> Kuchh kahaniyan rah

> gain Suune pade panno par likhne se pahale

> hi Kuchh  yaden bikhar gain 
>
> O laado janm din jo manayen

> aaj talak  Unme  bite dino ki ravaniyan bah
> gain 

> Roop ke us ambaar ki masumiyat Aaj

> bhi in aankho me ashko ka shringaar kar  gai 

> Wo tera apnapan  wo  jo na kah kebhi sab kah

> dena  dil ko mere jhakjgor gai 

> Tera vo bachapan  teri wo

> khilkhilahat Vo ek hi thali  me khane ki zid 

> mann ko tanha kar gai

> Bhulna bhi chahun par bhul na

> paun Lado  tu chand hasin lamhe sath

> dekar Taron ki dunia me bas gai 

> Teri yaden  bada rulaye  par sath tu aaj bhi

> hai ye ehsas  bhi dila jaye  tu jane ke bad bhi  hamare

> dilon me bas gai 

> Paakar tujhe trupt hue hua ek ehsas tripti ka 

> anmol ohda  dekar  tu kahin ambar  me  chali
> gai 

Aaj ke din kuchh pal tak yadon me aakar hi sahi

Tu hamare muskurane ki vajah ban gai

Tuesday, May 28, 2019
Topic(s) of this poem: abc
COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 29 May 2019

Apki masoom v pyari beti ki yaad mein likhi gayi is bhav poorna kavita mein ek maan ke dukhi dil ki pukaar sunaai deti hai. Vah ab is duniya mein nahin hai lekin uski pyaari chhavi tatha yaaden ab bhi apke sath hain. Hum apki bhavnaon ko samajh sakte hain. Dhanywad, Bahan Pushpa ji.

0 0 Reply
Pushpa P Parjiea 30 May 2019

Thanks bhai..

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success