Kuchh Ko Dil Se Khelna Aa Gaya Poem by Ashish Singh

Kuchh Ko Dil Se Khelna Aa Gaya

Rating: 5.0

Kuchh log khelte hai khilaone se..
Kuchh ko dil se khelna aa gaya...
Aur hum bhadakte bhadakte ja pahuche uss mod par..
Jaha se hume akele jeena aa gaya....

Kisi se mang li maafi humne
aur kisi ko maaf kar diya
Jindagi jine ka yahi tarika hai
Ye mujhe saaf dikh Gaya...
Baitha tha ek raat kamre ke andhere me
Aankhe khuli to bahar sunhara savera tha
Aur jo jindagi ji rahe the hum
Wo hume na gwara tha..
Socha nikal padte hai ek aur safar par kahin
Na rukne ka jo khud se kiya wada tha
Fir aaya yu koi aur Rok diya mera wo rasta
Jis raste ki na koi manjil thi aur na koi thikana tha...
Fir laga hume kya soch rahe the hum abb tak
Jindagi ka safar to kafi suhana tha
Ho gaye the hum ek se do abb
aur bacha abb bas basana apna aashiyana tha
Par kahte hai na sachhi mohabbat kavi Puri nai hoti kisi ki
Aur mere khuda ka to mujhe dena ek aur nazrana tha
Chhin liya mujhse fir se wo sath tera
Aur abb kya kahe hum
Yahi hamari jindagi ka Tarana tha...
Likhenge fir ek din kuchh aur
Jab hogi koi baat
Jab mil jayenge in hatho me fir kisi anjan ke hath.

© Mγѕτєяιουѕ ᴡʀɪᴛᴇR✍️

Kuchh Ko Dil Se Khelna Aa Gaya
COMMENTS OF THE POEM
Anamika Singh 07 February 2023

It's Amazing and you looking so cute

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success