Kyun Dil Jo Chahe Milta Nahi Kabhi Kabhi Poem by Rishi Thakkar

Kyun Dil Jo Chahe Milta Nahi Kabhi Kabhi

Rating: 5.0

1) Kyun dil jo Chahe milta nahi kabhi kabhi..
Chahta jisko beintaha hai zahir nahi kar sakta usse abhi
Ibadat rab ki roz karta
Deedar fir aankhen mund unka karta
Dil k shamiyane mein unke sangh ghanto bitaye
Ye haseen raaz khud mein chhipaye
Meethi yaadon mein khoya jaaye
Par zimmedariya khoob nibhaye..

2) Kyun dil jo Chahe milta nahi kabhi kabhi..
Wo pal jo mohhabbat ne sajaye thee
Wo din jo unke sang bitaye thhe
Wo gesu jo unke hotho par se pyaar se hataye thhe
Kuch sanson ko unki season mein panah mil gayi,
Kabhi sharmati jhuki si ankhiyan ek pal ek dooje se mil hi gayi..
Wo unki Khushboo humein aaj bhi yaad hai
Wo bachkani baatein Inn kaanon ko ek baar fir sunne mil jaye fariyaad hai..


3) Kyun dil jo Chahe milta nahi kabhi kabhi
Jo hai so aaj hai yahin jo hai abhi..
Sweekarna Sikh lo isse  jo hai yahi hai aisi hi hai zindigi..
Kuch khwab, khwab hi acche hai
Khwabo mein jazbaat sacche hain..
Kyun dil jo Chahe milta nahi kabhi kabhi..
Jo hai ye pal hai jee lo isko hass k yuhin.

Wednesday, January 6, 2016
Topic(s) of this poem: hope,love
COMMENTS OF THE POEM
Abhilasha Bhatt 06 January 2016

Dil jo chahe mana ki milta nhi kbhi kbhi...magar duaaen krte jao kyunki hoti hai qubool dua kbhi kbhi...nice sharing rishi keep it up... :)

0 0 Reply
Rishi Thakkar 06 January 2016

Kya baat hai... Umeed de jaate hai dost kabhi kabhi Yehi umeed zindagi mein dua hoti hai sabse badi.. Thanks for the appreciation Abhilasha :)

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success