Mai Sukun Se Hun...! Poem by Pradeep Pathak

Mai Sukun Se Hun...!

ek hasil aur laga ke...
zindagi ko doguna kerte hain..
vo khamoshiyon ka chain chura ke..
shor sharaba kerte hain....

na dard se rote hain..
na khoon se darte hain..
vo apne karnamon ka..
istihar sheher mai kerte hain...

thaga sa mai..
thagi hai uski duniya..
thage khuda jub...
to maut se perda kerte hain...

na manzer hai aub...
kahin na hariyali dikhti..
vo jangalon mai jake..
roza namaaz kerte hain...

khafa nahi mai...
bus taras sa aata hai..
vo meri bebasi ko...
nazarandaaz kerte hain...

jaane khuda kub badlega ka kerwat..
jaane kub tufan aayega...
ye roz roz ke tamaashe aub
sahe nahi jaate hain..
jo meri bandagi ke ghaav..
kured-kured ke jaate hain...

maula-o-maula..
madad ker aub meri..
tere ishq ka rutba..
zara in darindo ko bhi dikha..
dikha de inko ki mai..
teri panaah mai abhi bhi sukun se hun...!

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success