Pradeep Pathak

Pradeep Pathak Poems

Lehraati faslon ki tarah,
Basant ki ritu ki tarah,
Chandan si thandak liye-
Tu mere saamne he hai...
...

Aaj Shabdon ka mol kya hai..
Aaj rutbon ki baat kerte hain...
kuch sadkon pe aashiyan lagey jahan...
un kasbon ki baat kertey hain...
...

He has chosen his own way,
He has opened his arms for everyone,
All rhythms with dark nights have gone...
When he plays his music once.
...

ek hasil aur laga ke...
zindagi ko doguna kerte hain..
vo khamoshiyon ka chain chura ke..
shor sharaba kerte hain....
...

Aaj zindagi dhundhne nikla hun...
Fir nai duniya padhne nikla hun...
Sochta hun! hawa ka rukh dekh lun; ...
Main jaib mai aaftab liye nikla hun...
...

Tu aazad hai mere liye aaj bhi...
Tere pankh khule hue hain aaj bhi...
Tu udaan per hogi jub bhi mere saamne...
Mai saanth rahunga tere aaj bhi...
...

Us paar ka kinara,
Udaas hoker-
Is paar ke kinare se puchta hai.
Tu door se mere khwaab kuchalta hai.
...

Aasma saaf hai,
Sub her roz ki tarah kaam per hain...
Kuch adhpanpey phool bhi aaj khiley hain...
Muskuraatey dikhe hain.
...

Ek leher aai hai...
Sub doob nahi saktey usmain...
Per kuch log jo tairna jaantey hain...
Vo bhi doobney ko taiyaar hain..
...

Pradeep Pathak Biography

I am Pradeep...Software Engineer with one of the largest media groups in India, Hindustan Times...Poetry writing is my passion...I hope they will entertain you a little bit.....Thanks a lot for coming to my Blog....Have a nice time and God bless you....cheers...! ! !)

The Best Poem Of Pradeep Pathak

My Mother....

Lehraati faslon ki tarah,
Basant ki ritu ki tarah,
Chandan si thandak liye-
Tu mere saamne he hai...

Tu ehsaas hai parindon ke udne ka...
Tu ehsaas hai nadiyon ke machalne ka...
Tu aasman hai meri her ummid ka...
Tu mere saamne he hai....

Aaj mai kuch door chala hun...
Aaj chand ko khojne laga hun...
Tu khayal hai, mere ek aaftab sa...
Tu mere saamne he hai....

Bikhare tinkon si zindagi hai...
Her din nai maut nai bandagi hai...
Tu roshni si hai kaali raaton mai...
Tu mere saamne he hai...

Maa tu khamosh hai tufaanon mai...
Maa tu Aks hai ujiyaron mai...
Tu thami mere liye chhattano si...
Tu mere saamne he hai...
Maa....
Herdum Tu mere saamne he hai....

Pradeep Pathak Comments

Pradeep Pathak Popularity

Pradeep Pathak Popularity

Close
Error Success