Main Sayar To Tha Lekin Itna Badnaam Na Hota: Ms Poem by Aryan Ayaas

Main Sayar To Tha Lekin Itna Badnaam Na Hota: Ms



Main sayar to tha lekin itna badnaam na hota,
agar tum na hoti saath me tera naam na hota...
Log aksar mujhse poochte hai ki main kaun hu,
Kaise unko mai bataun ki mai tera hi to aks hu,

Toot ke jab Aayina bikhar jaata hai,
Har tukde me tera hi chehra najar aata hi,
Jab unko jodta hu to meri parchai najar aati hai
Kaise khudko tujhse alag kar paunga main,

tum dil ki dhadkano me ho
khud ki sanso ko Kaise rok paunga main,

Main sayar to tha lekin itna badnaam na hota,
agar tum na hoti saath me tera naam na hota...
Waqt gujarta jaata hai ek lamhe ki tarah,
Ek lamhe me sadiya gujar jaati hai tum bin,

Tum sath ho fir bhi na ho to bhi,
Tera ahsaas har pal mere saath rahta hai,
Kaise khudko tujhe alag kar paunga main,
tum dil ki dhadkano me ho,
khud ki sanso ko Kaise rok paunga main,

Main sayar to tha lekin itna badnaam na hota,
agar tum na hoti saath me tera naam na hota...

Thursday, July 27, 2017
Topic(s) of this poem: dream girl,imagination,love and dreams
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
This is dedicated to all the lovers with true heart and their love..
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success