Mein Desh Hun...... Poem by mithilesh yadav

Mein Desh Hun......

Rating: 5.0

Tere faisley mein tu dekhta hai bass...
mujhey mera desh nhi dikhta....

desh bhakti ko bana li hogi tuney daulat....
par soch ley malik mere mera vote nhi bikta....

jitna tu deshbhakt dikhta hai, utna hi mein hun....
jitna tu desh ka dard dikhta hai, utna hi mein jita hun....

jitna tu imaandar sabko lagta hai, utna hi mein hun.....
teri lakhon ki naukri kurbaan desh pey, mein aapni do roti kurbaan kaisey karun....

jitna tu anshu bahata hai, rota utna hi mein hun....
tere aansu par desh dekhta hai, mujhey padosi bhi par pehchanta nhi.......

teri maa dard jhelti hai sab teri badai kartey hai...
meri maa samaan bhi uthati hai to sau log taney martey hain....

jitna tu maa ka beta hai, utna hi mein bhi hun....
par teri jammen alag hai aur mitti ka mein hun....

tu deshbhaqt neta hai mere desh ka saheb.....
jara meri shaqal bhi pehchan ley mein desh hun....

soya hun, bathka hun, bhula hun bhulbhuliye mein....
khoya hun chunavi wadon mein, jhuthey dilason mein....

par jitna tu desh ka hai utna hi mein hun....
nazar tu aata hai sabko, mein dikhta nhi hun....

tu desh ka chehra hai duniya mein....
Mein desh hun.....

Thursday, November 24, 2016
Topic(s) of this poem: indian,patriotic,patriotism
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 24 November 2016

Kya khoob likha hai aapne...... Lekin wo toh chehre pe chehra lagakar ghoomte hain Logon ko rula kar jhoomte hain wo kya jaane is desh ka dard Jo apno ko satakar jhoomte hain Is desh ne dekhe hain kai badshah Sehne ki aadat ab khoon mein bus gayi hai Jhute waade sun kar sach maan lete hain ab THOUGHT PROVOKING POEM INDEED......10++++++++

2 0 Reply
Mithilesh Yadav 25 November 2016

thanx asim bhai

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success