Mere Desh K Sipahi.. Poem by abhilasha bhatt

Mere Desh K Sipahi..

Rating: 5.0

Sarhad par jo rehte hain
Na koi rishta unse na naata hai
Phir bhi bin kuch soche
Bin kahe Kuch
Bina kisi chahat k kisi
Har pal har ghadi
Hamari jaan bachaate hain
Na jaane kitni raatain jaaga krte hain
Na jaane kitne din bhookhe pyase guzaar jate hain
Kitne hi door tak khoj main dushman ki door tak bin ruke chala krte hain
Phir bhi uff tak nhi kehte
Na koi kisi par ehsaan jatate hain
Farz kehkar desh k lie apni jaan nyowchawar kar jate hain
Chalni hote jism ko bhi desh k lie lutaate hain
Sahi maayane main yahin deshbhakt kehlate hain
Zameenee, aasmaani, paani ki sharhadon par nazar gadaye rehte hain
Har deshdrohi aatanki ko marte hue bhi maar girate hain
Puri duniya main ek yahi hain jo markar swargiya nahi balki shaheed kehlaate hain
Inke lie har seene main ashok chakra ban jaate hain
Kitne pal apne ghar ko yaad karte hue reh jate hain
Har ghadi jo apne ghar ko apnon ko yaad aate hain
Kitne hi aakhri baar apne bacchon ko Nhi dekh paate hain
Na apne maa baba ko aakhri baar mil paate hain
Aur saare rishton se badkar desh ko apne jaan se zyada chahte hain
Apni desh bhoomi ko maa kehkr bulaate hain
Aur apni maa ki raksha main ye veer amar jawaan shaheed ho jaate hain..
Ye desh veer jawaanon ka hai
Desh bakht maaon ka hai
Jo apne akhon k taaron ko sarhad par bhejtin hai
Apni maatri bhoomi ka rinya chukana hai yeh seekh sikhlaati hain..
JAI HIND
JAI AMAR JAWAAN

Friday, January 8, 2016
Topic(s) of this poem: soldiers
COMMENTS OF THE POEM
Gajanan Mishra 08 January 2016

matrubhumi ka runya chukana hai.. we are here for our mother land. Mother, mother-language and mother-land Are greater than heaven..

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success