Mirza Ghalib's: Bazicha-E-Atfal Hai Duniya Mere Aage In English Ghazal Poem by Ravi Kopra

Mirza Ghalib's: Bazicha-E-Atfal Hai Duniya Mere Aage In English Ghazal



The world is a children playground before me
Day and night a show goes on before me

The throne of Suleman near me is a plything
Christ's miracle is just a thing before me

Though I do not accept the appearnace of the world
Yet there's clarity of all life forms before me

There'e no sand storms in the desert when I am there
A river rubbing its forhead in dust flows beofre me

Ask me how I am following you
See how colorful you are when before me

-to be translated later


bazicha-e-atfal hai duniya mere aage
MIRZA GHALIB

bāzīcha-e-atfāl hai duniyā mire aage
hotā hai shab-o-roz tamāshā mire aage

ik khel hai aurañg-e-sulaimāñ mire nazdīk
ik baat hai ejāz-e-masīhā mire aage

juz naam nahīñ sūrat-e-ālam mujhe manzūr
juz vahm nahīñ hastī-e-ashiyā mire aage

hotā hai nihāñ gard meñ sahrā mire hote
ghistā hai jabīñ ḳhaak pe dariyā mire aage

pūchh ki kyā haal hai merā tire pīchhe
tū dekh ki kyā rañg hai terā mire aage

sach kahte ho ḳhud-bīn o ḳhud-ārā huuñ na kyuuñ huuñ
baiThā hai but-e-ā.ina-sīmā mire aage

phir dekhiye andāz-e-gul-afshānī-e-guftār
rakh de koī paimāna-e-sahbā mire aage

nafrat kā gumāñ guzre hai maiñ rashk se guzrā
kyūñkar kahūñ lo naam na un kā mire aage

īmāñ mujhe roke hai jo khīñche hai mujhe kufr
ka.aba mire pīchhe hai kalīsā mire aage

āshiq huuñ pa māshūq-farebī hai mirā kaam
majnūñ ko burā kahtī hai lailā mire aage

ḳhush hote haiñ par vasl meñ yuuñ mar nahīñ jaate
aa.ī shab-e-hijrāñ kī tamannā mire aage

hai maujzan ik qulzum-e-ḳhūñ kaash yahī ho
aatā hai abhī dekhiye kyā kyā mire aage

go haath ko jumbish nahīñ āñkhoñ meñ to dam hai
rahne do abhī sāġhar-o-mīnā mire aage

ham-pesha o ham-mashrab o hamrāz hai merā
'ġhālib' ko burā kyuuñ kaho achchhā mire aage

Tuesday, April 9, 2019
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success