Mujhe Afsos Hai.. Poem by abhilasha bhatt

Mujhe Afsos Hai..

Tum meri zindagi main aye
Mujhe afsos hai
Maine tumpar yakeen kia
Mujhe afsos hai
Tumse pyar kia
Mujhe afsos hai
Puri zindagi tumhare naam kia
Mujhe afsos hai
Tumhara mere sheher main ane par
Mujhe afsos hai
Mere tumhare rishtey par
Mujhe afsos hai
Zindagi k is hisse par
Mujhe afsos hai
Ye waqt mera maazi hoga
Mujhe afsos hai
Kbhi aai thi tumhari dehleez par
Mujhe afsos hai
Khudko zaleel karaya tha
Mujhe afsos hai
Tumhare lie ashq bahaya tha
Mujhe afsos hai
Tumse apna dil reza reza tudwaya tha
Mujhe afsos hai
Ek umra tumpar ganwaya tha
Mujhe afsos hai
Ghar tumsang basaaya tha
Mujhe afsos hai
Raatain tumhare intzaar main bitaai thi
Mujhe afsos hai
Khudko tumhari surat main dhala tha
Mujhe afsos hai
Apne wajood ko tumhare lie mitaaya tha
Mujhe afsos hai
Ujde hue tumhare ghar ko sajaaya tha
Mujhe afsos hai
Tumhara har dia zeher chupchap piya tha
Mujhe afsos hai
Itne waqt tak har zulm saha tha
Mujhe afsos hai
Khudko itna kamzor samjha tha
Mujhe afsos hai
Der main tumhe chodne ka faisla lia
Mujhe afsos hai
Tum meri zindagi main aye they
Mujhe afsos hai
Mujhe bahut afsos hai..

Wednesday, January 6, 2016
Topic(s) of this poem: marriage,pain,separation
COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 06 January 2016

Really a shocking, fretful, repulsive and an emphatic commentary on a perplexing relationship that leaves a lasting impression on the readers' mind. I am overwhelmed by emotional narrative of the poem. The honesty of expression is heart touching. I would like to quote: Khudko zaleel karaya tha / Mujhe afsos hai Tumhare lie ashq bahaya tha / Mujhe afsos hai Tumhara har dia zeher chupchap piya tha / Mujhe afsos hai Itne waqt tak har zulm saha tha / Mujhe afsos hai

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success