Na Jaane, Kya Kya Naam Diya Poem by ANJALI KAKATI

Na Jaane, Kya Kya Naam Diya

Kabhi ahsas
Toh kabhi
Pyaar ka naam diya.
Jo bhare rakhta hai
Mere khayyalon ko
Tumhare khayalon se,
Na jaane use kab kab
Kya kya naam diya.

Kabhi socha sapna hai
Raat ke jaate hi jag jayeenge.
Kabhi socha nazar ka dhokha hai
Dhoondh hate hi dekh paayenge.
Ho kar bhi jo hai nahi,
Na jaane use saath ko kak kab
Kya kya naam diya.

Kabhi tumhari aankhon me deekha,
Kabhi tumhari dhadkhan me suna,
Dikhkar sunkar bhi jo benam hai.
Na jaane uuse rishte ko kab kab
Kya kya naam diya.

Kabhi socha tumse dur bhag jaaye
Kabhi chaha tumhe bhool jaaye
Par sochkar chhahkar bhi
Jo hum kar nahi payee.
Na jaane use roohon ke bandhan Ko kab kab
Kya kya naam diya

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success