Na Jaoo Itne Dur Humse Poem by ANJALI KAKATI

Na Jaoo Itne Dur Humse



Kyon ja rahe ho
Itne dur humse?

Na jaaoo itne dur,
Itne dur,
Ke hum aawaj de,
Jo deewaro me goonj
Hum tak hi lout aaye,
aur
tum tak meri aah to kya
rooh ki phariyaad bhi na pahuch paaye.

Na jaaoo itne dur,
Itne dur,
Ke hum dastak de de ke thak jaaye
Aur
Koie darwaza, koie raah
Hume to kya humare janaje tak ko
tum tak na le ja paaye.

Na jaaoo itne dur,
Itne dur,
Ke hum youn hi raat ke aashko ko
Subah ki dhoop me sukhate phiree,
Aur
Palko tale tamam umr dard ko
khamooshi se sambhale rahe.

Kis khata ki saza de rahe ho hume?
Ke nabz bajti rahe,
Sans chalti rahe,
Aur,
Usee hum jindagi ka namm
Bhi na de paaye.

Kyun ja rahe ho itne dur humse,
Na jaaoo!
Lout aaoo!
Aakhir…
Tumhare rooh ka kuch
Humse bhi to hai wasta,
Khushi ka na sahi
Dard ka tumhare humse hai
Kuch poorana sa rishta.
Joodti hai
Jo tumhari tanhaee se
Meri tanhaee ko,
Deekho na,
Kitni dur se chala aa raha hai
Ye rasta.
Itna sab kuch,
Phir bhi
Naa jaane kyun jaa rahe ho
itne door humse.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success