Pyar Ka Ehsas.. Poem by Silky Jain

Pyar Ka Ehsas..

Rating: 4.5

Wo pehli mulaqat..
Kuch palo ka khushnuma sath..
Dosti ka pehla kadam..
Ek naye rishte ki shuruwat...

Jaise waqt guzarne laga...
Hamare ehsas badalne lage...
Mulaqate badhne lagi...
Dilo me chahte jagne lagi...
Hum karib aane lage..
Duriya tab mitne lagi...

Jaise dosti ka rang gehra hota gaya...
Ek dusre ko samajhna asan hone laga...
Hamara dil pyar me rangne laga...
Is rishte ko ek nai pehchan dene laga...

Ye rishta kya kehlata hai,
Iski hame fikr nahi...
Aj se bhi gehra hoga kal,
Isme hame koi shak nahi...
Bas tum dena saath mera..
Baki sari duniya ki hame parwah nahi...

COMMENTS OF THE POEM
Jazib Kamalvi 21 October 2017

A refined poetic imagination, Silky J. You may like to read my poem, Love And Lust. Thank you.

0 0 Reply
Gajanan Mishra 06 August 2013

pure love, good write, thanks, I like it. I invite you to read my poems and comment.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success