Sadak Poem by Dr Bharti Tiwari

Sadak



Ye sadak akash tak jati nahi hai,
Ruh koi lout kar aati nahi hai.

Rum ne dil par likh diye aise khutboo,
Roushni ki rash ab ati nahi hai.

Pet bandhe jo pade footpath par,
Aansuon se pyas bujh pati nahi hai.

Shah-e-doulat mai pale jo aaj tak,
Dil tak unk aah kyon jati nahi hai.

Kaise dhoyen is sadi k bojh ko,
Saans apna bojh dho pati nahi hai.

Ban gayi hai kaali naagin jindagi ye,
Jiske dar se mout bhi aati nahi hai.

Is jahan ko chhod kar jayen kahan,
Ye sadak akash tak jati nahi hai.

COMMENTS OF THE POEM
Dr Bharti Tiwari 12 June 2009

thanks a lot pandhi ji, im glad to know that u read n enjoyed my poem. keep reading...

0 0 Reply
Nikhail Pandhi 10 June 2009

Ma'am, your poem is absolutely beautiful! Is kavita ne mujhe bhav vibhor karke rakh diya hai...kitni gehrai chipi hai shabdon mein...kitne anokhe bhav hain aapke! Really...one of the best hindi poems iv read!

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success