Sharad Purnima - I I Poem by ramesh rai

Sharad Purnima - I I

Sheetal thandi hawayen bhi
jhonka bankar nadiyon ki marmari galon ko
chumte huye aage k liye prasthan karten hain
kyunki unhe to jaana hai bahut door
chandrama bhi n jaane kyoon baar baar
uske hriday mein apni hi taswir dekhna chahata tha
lekin nadi ki har lahar us taswir ko dhundhla kar raha tha
ye to lahen hi hai
jise nadiyan apne hriday mein sada basaye rahati hai
ye to laharen hi hai
jo nadi k jiwan ki smita bankar
sukh dukh k har kinaron ko chumte hai

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success