Sheir Poem by Shambhu Dan Mehru

Sheir

Aaj hasein sath hai to, koi hasein baat kar
gar hasein baat hai to, koi hasein sath kar


Aasan hai sabko samjhna, faqat dil ko samjhna mshqil
pahchaan sabhi se aasan hai, apni pahchaan badi mushqil


Yaad karne ko iss jahaan me koi nahein,
apana kah kar kisi ko bhulana bhi hota
to aur jee lete


wo mujhe pyar se dekhein
ye mere jeene ka ishaara hoga


Abhi talak badi kami hai yar apni zuban me
dil ki kaise kahein dil ke zubaan nahein hoti


Gar phool me khushbu ek satya hai to
dard se aansu bhi garm hua karte hein


Paeehe ki pyaas sirf paani ki nahein hoti
chakori ki chaah sirf roshni ki nahein hoti
Husn ek hi par meharbaan nahein hota
Kaash ye baat ishque ke samajh me aagayi hoti.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success