Social Networking Aur Mobiles Poem by Rishi Thakkar

Social Networking Aur Mobiles

Kya naya yug ka jalwa dekha
Sabko ek machine mein ungliyan nachate dekha
Aankhein iss machine se devdas-paaro si mohabbat karti hai.
Aur ungliyan chandaramukhi jaise isko lubhati hain
Kamaal ka ye machine hota
Kehte isko mobile
Budhe buzurg isko dekh kar kehte hain
Where were you all this while?
Iss touch screen mein ghanto hum bitate
Kabhi facebook mein dosto ki chaviyon par likes comments bikhrate
Kabhi whatsapp mein chatting karte jaate
YouTube mein trending videos niharte.
Snapchat mein bina shabdon ke baatein karna seekhte
Aur skype se long distance relationship nibhate
Har pal har ghadi akela nahi raha ainsaan mobile mein aganit log saath leke chalta insaan.
Aur to chodo aajkal mobile pe darshan bhi dete bhagwaan.
Par kabhi kabhi sochta hu jab akela koi hota hai
To aaj bhi saccha maza tabhi aata hai jab kareeb koi dost hota hai
Jab kisi ki yaad aati hai
To paas hone ka ehsaas ek jaadu ki jappi hi de paati hai.
Jab aayna hum niharte hain to likes comments ko bhool jaaiyen janaab humari antaratmaa se parichit ho jaate hain.

Mata pita ka mastishka pe haath aur peeth ki thapthahaat wo aanand de jaati hai wo koi bhi social etworking ki comments aur likes nahi de paati.

Fir bhi iss mobile aur networking ka bol baala hai
Issme jo ek baar aa jaaye daldal mein doobta jaata hai

Aaj kal ki aankho dekhi kahun to Ek maa hai jo rote bachhe ko chod mobile selfies khichti jaati hai
Aur Ek baap hai jo skype mein meetings bache ko khilane se zaroori samajta hai.
Social networking tera ye roop mann ko kasht deta hai.

Bus ek tammana dil mein fir bhi rakhta hun
Insaan insaan ko na bhul jaaye social networking ke daldal mein na doob jaaye rab se fariyaad karta hun
Kitaab ki khushbu ka maza kahan kindle de paaye
Pen ki syaahi se likhe alfaaz type ki gayi kavitaen kabhi na de paaye.

Monday, April 17, 2017
Topic(s) of this poem: social media
COMMENTS OF THE POEM
Abhilasha Bhatt 17 April 2017

The best poem on social media....every one should read this.....amazing......loved it :)

1 0 Reply
Rishi Thakkar 17 April 2017

Perhaps we read become aware yet use social networking every day

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success