Swatantrta Divas Poem by Pushpa P Parjiea

Swatantrta Divas

Rating: 5.0

Aao Milkar aazadi ka jashn manayen ham

Jhanda tiranga pyara sa laharyen ham

Parv ye azadi ka mila hai hame yekaise bhul jayen ham

Badi mushkilon or mashakkat ke bad paya hai sunahara ye avasar hamne

.apne veeron ki kurbani Kaise bhul payen ham

ashrudhaara bah jaati hai jab koi beta

papa ki yad me aansu bahata hai

.dekha nahi jata jab ek suhagan

desh ke liye beva banti hai

Koi maa apne laal ki lash godi
me rakhkar roti hai

Karodo ki kurbaniyan or mehanat
ki kimat swatantrta divas ke roop

Me hamne pai hai.kar lo pran aaj ki
Abase simit swarth hetu desh ka sauda karenge na

kabhi Jo bhul kar gaye etihas me raje maharaje use naakabhi dohrayenge ham

. Yugon yugon tak apna pyara tiranga lahrayenge ham Apne pyare desh ko fir se sone ki chidiya banayenge ham.

Sat sat vandan veer sainik bhaiyad me teri sarvada mastak apna jhukayengeham

Wednesday, August 14, 2019
Topic(s) of this poem: freedom
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Freedom
COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 15 August 2019

Desh ki azadi ke prateek tirange jhande ki shaan ko aksunn banaye rakhne ke liye lakhob logon ki kurbaaniyon, krantikaariyon evam bahadur sainikon ke tyag v tapasya ko bhulaya nahin ja sakta. Deshbhakti ki ek sundar abhivyakti hai is kavita mein. Dhanywad, Bahan Pushpa ji.

2 0 Reply
Pushpa P Parjiea 11 September 2019

Ji bhai aapne sahi kaha..bahut bahut dhanyvad bhai .. Sorry for late reply

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success