Vaishakhi Poem by ramesh rai

Vaishakhi

Vaishakhi ka ek geet likhun main
har taruwar bharmate hain
kahin koi gunjan bankar
chha jata hai ballariyon mein
abhinav ka sangeet nahi yeh
yeh madakta ka naata hai

ushma bikher rahi jab prakriti
jivan ka dhoop tibra ho jata hai
nahi kahi koi ek rachna
kaun suravi hai bikher raha
marut ke har jhonkon mein
faila raha hai nayee prabha

yeh aagman hai nav varsha ka
vasant ritu tab jaata hai
chaitali ka pawan upvan
chhod gaya apna vaibhav
khush ho kar sab gaate hai
vaishakhi ka geet naya.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success