Wo Kashti Kagaz Ki Poem by abhilasha bhatt

Wo Kashti Kagaz Ki

Wo kashti kagaz ki
Kuch girti hui
Kuch sambhalti hui
Pani main apna
Ek makaam banane ki
Lahasil si koshish krti hui
Syahi k neele rang
Berang ho rahe hain
Dhundhle hogye hain
Shabd jo bune na jane kisne honge
Mujhe apne ghr k dariche se nazar ati hai
Dheere dheere door jati hui
Main zindagi ko apni
Kuch mehsus kar rahi hoon
Jo doob raha hai ek pal main
Jo sambhal raha hai dusre pal main
Makaam bana raha hai zindagi main
Ek lahasil makaam ko pane ka kitni shiddat se
Koshish nakaam si karti hui
Door tak jaati bus jaati nazar aarahi hai

Friday, December 4, 2015
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success