Zindagi Ka Bazaar Poem by Anam Rizvi

Zindagi Ka Bazaar

Har din Zindagi ke baazar mein,
Naye chehre mil jate hain,
Hum bekhabar rehte aur,
Wo itne paas aa jate hain.

Kab wo khaas bante,
Kab Wo Zindagi ban jate,
Ye kisko pata.
Bas ek dar sa basa rehta,
Aaj to khushiyan,
Kal ka kisko pata?

Ek din Unhe bhi jana padhta,
Us din tak hi sahi,
Saath to diya hota.
Aage ki kisko khabar?

Kal to aa hi jayega,
Zindagi bas aise jeena,
Na ansuon se daro,
Na khush hoke ansu pao.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success