Aakhri Khat Poem by abhilasha bhatt

Aakhri Khat

Rating: 4.8

Tum zindagi thi meri….
Ye zindagi ka mere sach tha….
Pyar tumse kia aur sirf tumse hi Kia sach tha….
Bus main ye tumse keh na saka...
Hazaron khat likhe maine...
Aur sare khat sirf naam they tumhare….
Bus un khaton ko tum tk bhej naa paya….
Har seher main tumhe dekha….
Har sham main tumhe dekha..
Tumhe apni duaa banaya….
Har aazaan main tumhe hi pukaara….
Har nagme main zindagi k tumhe hi likha tumhe hi pada….
Dariche se aati subha suraj ki roshni main bus tumhe hi mehsus kia….
Chehre ko chumti har hawa main bus tumhara hi ehsas kia aur paya bhi tumhe hi...
Katra katra pighalti zindagi main...
Tumne katra katra zindagi bhari hai….
Mere zindagi k is berang canvas par tumne...
pyar k hanseen rang bhare hain...
Tumhe maine apni ghazal banaya...
Tumhe hi maine apni dhun banaya...
Aur tumhe hi maine gungunaya shiddat se gaaya…
Ab saanse ukhad rahin hai ….
Ab zindagi udhad rahi hai...
Jate jate tumhe apna akhri khat bheja hai maine
Bus ek baar pad lena...
Aur padkar apne ek naadan chahnewale k dil se likhe is khat ko pani main baha dena….
Na dhundhna mujhe tum..
Na talaash mujhe krna..
Kyunki iske bad na main rahunga
Aur na mere khat...
Mere khat k tum tk pahunchne se Kuch waqt pehle hi main tumhara agle janam main usi mohobbat se shiddat k sath intzaar kar raha hounga...

Thursday, December 3, 2015
Topic(s) of this poem: love and life
COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 03 December 2015

Ab saanse ukhad rahin hai …. Ab zindagi udhad rahi hai... Jate jate tumhe apna akhri khat bheja hai maine Bus ek baar pad lena.../ बहुत सुंदर. बेहद भावपूर्ण व मार्मिक कविता.

2 0 Reply
Shakil Ahmed 03 December 2015

yes love letters are a way to express love when we cannot express it through words, nice lyric, thanks

2 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success