Adhuri Khwahish -2 Poem by Rv. Parmar

Adhuri Khwahish -2

Rating: 3.5

Na pucha tumne dil se koi gam nhi
Kabhi ise bhi izhar ka mauka diya hota

Na dekha tumne humko koi gam nhi
Kabhi Najro se hi sahi salaam to kiya hota

Dil tod ke chale gaye koi gam nhi
Zakhm-e-dil ka haal to puch liya hota

Lafz dil ke bayan kar raha tha Rv
Na suna tumne koi gam nhi,
Haal-e-dil ki daastan ko tasawwur
To na samajh liya hota

Yaad karta hu wo mukhtasar mulakat
Na tumne najre jhukana aaya
Na mujhe najare milana aaya
Fir bhi tumhari palko ki chhav ne
mujhe tumhari aankho me kaid kr diya

Maine bhi deedar~e-mohabbat kar ke gunah kar diya
Tumne bhi ise mere ishq ki tarbiyat samajh ke thoda ishq farma liya

Friday, July 21, 2017
Topic(s) of this poem: sad love
COMMENTS OF THE POEM
Jazib Kamalvi 07 August 2017

A nice poetic imagination, Parmar. You may like to read my ars poetica named as (Poetic Sense-1) Thanks

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success