Adhuri Khwahish -1 Poem by Rv. Parmar

Adhuri Khwahish -1

Rating: 4.0

Is hasrat~e dil ki.....
Kuch kasar reh gyi,
Jo khwahishe thi.....
Wo khwahishe hi reh gyi,
Na gaye the us samandar ki or
fir bhi Tishnagi lag gyi thi,
Chaha tha ek pyara lamha...
Magar reh gaya ye dil tanha.
Dil dil na rha ek musafir ban gya,
Manjeel ka to pta nhi par ek sathi mil gya,
Haseen tha wo sathi.....
Dil ko fir se dhadakna sikha diya,
Shayad na manjoor tha use ye sath hamara
khud bhi chala gaya aur dil bhi tod gaya
na manga tha kisi ka sath humne
usne hi hath badhaya aur khud hi chhor gaya
Na ki thi koshishe kbhi ulfat ~e bayan karne ki,
Uske jane k gam ne sab kuch bayan kr diya,
Na tumne muje kbhi pucha....
Kya kehta h dil tumhara...
Ek bar bas ek bar justajoo ki hoti
Kash samajh jata dil tumhara

Wednesday, July 19, 2017
Topic(s) of this poem: sad love
COMMENTS OF THE POEM
Jazib Kamalvi 07 August 2017

A nice poetic imagination, Parmar. You may like to read my poem, Love and Lust. Thanks

1 0 Reply
Rv Parmar 27 August 2017

Thnks sir

0 0
M Asim Nehal 19 July 2017

Bahut khoob...10+++++ Lajab, Maza aagaya padh kar.

1 0 Reply
Rv Parmar 19 July 2017

Thnk you sir

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
1 / 1
Rv. Parmar

Rv. Parmar

Jodhpur
Close
Error Success