Dil-E-Nakaam Poem by Rv. Parmar

Dil-E-Nakaam

Rating: 5.0

Shab-e-gam me chasm-e-tar ho raha dil-e-nakam,
Mere khuda aaj hi mere aashiyane ka bikhar jana tha.

Barsaat hui aisi aaj mere armaano ke darakht pe,
Har ek tawaqqo ki shakh ka aaj hi tut jana tha.

Yun agar koi gam hota to maykhana ek hamsafar hota,
Dil-e-khstagi thi ye, jise nasoor hue jana tha.

Chhor ke haath wo keh ke chal diye ki wo nadan hain,
Agar aisa tha to tumhe is dil se dil na lagana tha.

Main kehta hu ye kaafiro ka zamana hain bebas na ho Rv,
Wo rukhsat ko aaya tha beech raah chhor jana tha

Wednesday, July 19, 2017
Topic(s) of this poem: sadness
COMMENTS OF THE POEM
Jazib Kamalvi 29 July 2017

Achcha aaghaz hai ek khoobsoorat ghazal ke sath. Shukria

0 0 Reply
M Asim Nehal 19 July 2017

Wah wah kya khoob ghazal hai... Chhor ke haath wo keh ke chal diye ki wo nadan hain, Agar aisa tha to dil ko laga kar kyun tadpana tha.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success