Agar Angrezi Tumari Tooti-Footi Hai Poem by Ravi Kopra

Agar Angrezi Tumari Tooti-Footi Hai

Rating: 2.8

Tooti-Footi Angrezi Main Poetry - Poem by Ravi Kopra
ey mere kuch bharti bhaeeo (some not all)

agar angrezi tumari tooti-footi hai
to kyon likhtay ho poetry angrezi main
kyon nahin likhtay hindi main, punjabi main
gujrati main, bangla main, marathi main
tamil main, telgu main, urdu main, malyalam main

kya bharat main bhashon ki koee kami hai?
kyon be-izzati karaato ho apni aur bharat ki?
kyon batatay ho angrayzon ko tum kitnay anpad ho?
likho poetry apni bhasha main jisay tum samajhtay ho.

acHi acHi poetry likh kar, bharat ka naam acHa karo
tooti-footi angrezi main likh kar bharat ko badnaam na karo
angrazi main hi likhna hai to pehlay isay kuch seekh lo
angrezi ki laatain na toDo, is k katal main tum lagay ho

ye baDa ek paap hai

bahut bahut danya waad
khuda tumain angrezi sikhlaey
sirif yehi hai ek meri dua
khuda hafiz, namaste, ram ram, sat shri akal

Tuesday, November 14, 2017
Topic(s) of this poem: poetry,language
COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 14 November 2017

Mitra, bhasha kisi kii jaageer nahin hai. Aap vaisi angreji likho jaisi aapko aati hai. Anya logon kii chinta mat karo. Doosaron ko apni tarah se likhne kii azadi hai. Bhagwan aapka bhala kare. Dhanywad.

1 0 Reply
Ravi Kopra 14 November 2017

chinta to apnay desh bharat ki hai duniya main acha moonh dikhanay ki hai duniya ko baat samjhanay ki hai bharti sirif computer 'nerd' hi nahin hain in ko bhi angrezi aati hai tooti-footi nahin, sundar si, komal si dil main shaanti laganay wali, dil main aag laganay wali

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success