Bahut dino se jo hai dil me dabi,
Aaj use me juban pe lata hun!
Kisi aur se to keh na saka,
Par tumhe apne pyar ki dastan sunata hun!
Moti-moti kitabon k chote- chote aksharon se tha main pareshan,
K upar wale ne diya muzhe vardaan!
Us lamhe nikal gayi meri jaan,
Jb dharti pe nazar aya chand!
Uski nasheeli akhon ki kasam,
Kisi aur ka hua dil hum rahe nahi hum.!
Dimag bola, 'ye ishq nahi asaan, ek aag ka dariya hai aur doob k jana hai..'
Dil bola, 'ab jo bhi ho bs ishq nibhana hai..'
Dimag bola, 'jaldbaji me shadi karke apna jeevan bigad logey..'
Dil bola, 'soch samajh k karoge to bhi kya ukhad logey? '
Ab kuch samajh nai ata tha bs uska chehra najar ata thaa..
Humari hasti ko khoob behkati thi,
Jab sapno me jeans lagakar ati thi..
Anatomy ki kitab almari me rakhi reh jati thi,
Kyonki humare khayalon me ghanti to koi aur bajati thi..
Ab kuch bhi ho pyar karna tha,
Apne pyar ka izhaar karna tha..
Maine sari adchano ko dur kar diya aur khopche me jakey,
Apne pehle pyar ka pehla patr likh diya..
Agle din nahatey waqt do baar sabun lagaya aur,
patr ko apron me chupaya..
Izhaar se pehle yaha humara jigra tharthara raha tha, aur,
Wahan unka haath pakad k koi aur aa raha tha..
Dil tuta, rab rutha, pehle pyar ka pehla sapna tuta..
Fir wahi moti moti kitabon ka akshar chota..
Uske baad?
Mat pujho janaab,
Aj bhi main dard bhare nagme gungunata hun..
Aur apne prem ki dastan sabko sunata hun! !
:)
hahahaha..i will laugh. aur jeans lagakar aati thi? how about lipstick laga k ya perfume laga k aati thi?
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
Now that's a hilarious piece of work. One can't keep from laughing: D