Bachpan Poem by KAVITA SINGH

Bachpan

Rating: 5.0


Wo bachpan ke din.....
Wo Barish ki rimjhim....
Wo mausam ki bahar....
Aur wo doston ka pyar....
Khilauno ka wo dher...
Aur titliyon ka shor...
Wo school ki class...
Aur wo kitabon ka bojh..
Wo teacher ki maar...
Aur wo maa ka pyar....
Wo jhule pe baithne ki ladai..
Aur fir wo papa ki pitai....
Wo dadi ki kahaniyan..
Aur wo sapno ki duniya....
Wo aasman me udne ki chahat...
Aur chand ko chhune ki wo hasrat...
Bade huye to ehsas hua...
Wo din kitne achche the jab hum bachche the..
Wo bachpan kanhi chhut gaye...
Aisa lagta h mano sare sapne ek pal me tut gaye..

Thursday, November 19, 2015
Topic(s) of this poem: memories
COMMENTS OF THE POEM
Unnikrishnan E S 21 January 2017

Hi Kavita, A very passionate poem on the beete hue din..: . Everybody cherishes the childhood memories. Of course, as you have written, Bade huye to ehsas hua... Wo din kitne achche the jab hum bachche the.. Wo bachpan kanhi chhut gaye... Aisa lagta h mano sare sapne ek pal me tut gaye.. Thank you for making me relive those good days: Wo dadi ki kahaniyan.. Aur wo sapno ki duniya.... Wo aasman me udne ki chahat... Aur chand ko chhune ki wo hasrat... Congrats and a 100+++

0 0 Reply
Ajay Kumar Adarsh 24 August 2016

behad hi khubsurat rachna...... aapke is kavita se mujhe mere bachpan ki yaad aa gayi bachpan ka ko yad purana kitna mitha aaj ye jana ....................................... sukriya kavita g.........for sharing you bachpan........

0 0 Reply
Saadat Tahir 30 November 2015

lovely little nostalgic poem...fun filled and charming liked

1 0 Reply
M Asim Nehal 30 November 2015

Beshak, bachpan ke din kabhi bhulaye nahi bhoolte, Na fikar, na koi chinta, man mauji si zindagi na aaj ki soch na kal kal bojh, Laut aaya bachpan is kavita ko padhkar...Ek pal mein sadiyaan jee liye, Dhanyavaad 100+++

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success