Aascharya hota hai sunder mahilaon ko unke rahshya par.....
Main ek fashion model ke aakar ke anuroop sundar ya nirmit nhi hun
Lekin jab main unhe batati hun unhe lagta hai main jhooth bol rhi hun
Main kahti hun...
Yah meri bahon ki pahunch me hai
Mere kamar ki Awadhi me
Mere kadmon ki pragati me
Mere honthon ki surkhion me
Main ek aurat hun
Adbhut
Asadharan aurat
Wo main hun...
Mera ek kamre me chalna
Jaise hi main shant hoti hun
ek admi ke liye
Jo khada hai
Jhukta hai, apne ghutno ke bal
Log ikathe hote hai mere charon ore
Madhumakhion ki jhund ki tarah
Main kahti hun...
Meri aankho me aag hai
Aur mere danton me chamak
Mere kamar me laya
Aur pairon me khushi hai
Main ek aurat hun
Adbhut
Asadharan aurat
Wo main hun...
Purush khud aascharya me hai
Wo kya dekhte hai mujhme
Wo kosish karte hai
Lekin wo sparsh nhi kar sakte
Mere bhitar ke rahshya ko
Jab main unhe dikhane ki koshis karti hun
Wo kahte hai ki wo ab vi nhi dekh paa rhe hai
Main kahti hun...
Yah meri pith ke mehrab me hai
Meri suraj si muskan me
Meri stano ke ubhar me aur
Mere singar ki shaili me
Main ek aurat hun
Adbhut
Asadharan aurat
Wo main hun...
Ab aap samjhe!
Isliye mera sir jhuka nhi hai
Main chilaati aur kudhti nhi
Aur unchi aawaj me baat karti hun
Aur jab aap mujhe mrityu ke paas jate dekhenge
Aapko garv hoga
Main kahti hun...
Yah meri unchi yedi ke jute ki khat-khatane me hai
Meri balon ke ghumao me
Meri hanthon ki hathelion me aur
Meri chahaton ki jarurat me
Kyuki
Main ek aurat hun
Adbhut
Asadharan aurat
Wo main hun...
Exquisitely marvelous poem and an equally beautiful Hindi translation. I understand how difficult it would have been to translate this masterpiece of Maya Angelou. I've also tried my hand on doing its translation but don't know as to what extent I have succeeded in my endeavor. Thanks for sharing this fascinating translation.
A nice poetic imagination, Kavita. You may like to read my poem, Love and Lust. Thanks
Hi Kavita, You have done a wonderful job, translating this marvelous and very famous poem of Maya Angelou, so that non-English speaking readers can read and enjoy its beauty.
Awesome translation of PHENOMENAL WOMEN. Hats off to you Kavitaji