Be-Pardgi..........{chand Ashaar....(Urdu) Poem by Om Chawla

Be-Pardgi..........{chand Ashaar....(Urdu)

Na poochh husn-e-dilkash ka nazaara na poochh
Aankhein chundhia gaien main ne dekha hi kya tha.

Unke libass ki uryan nawazi ka zikr kya
Husn be-panaah aiyan tha, chhuppa hi kya tha.

Pardon mein na chhupta hai na chhupata hai maghroor-e-husn
Be-naqaabi ka taqaza kaisa parde mein hi kya tha.

Yeh to zabt-e ishq tha ke fitna nahien hua
Varna koi kya jaane, husn ka irada kya tha.

Wednesday, May 25, 2016
Topic(s) of this poem: beauty
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success