Bhrashtachar Poem by Heenal Vora

Bhrashtachar

Rating: 5.0


Kyu niraash karte ho sacchai ko,
Kyu rulate ho imandaari ko,
Kya mazaa aata hai gandhiji ki noto ka apmaan karke!
Kyu rishvat dete ho karmchaari ko,
Kyu laalach dikhate ho garibo ko,
Kya mazaa aata hai gandhiji ki noto ka apmaan karke!
Kyu bhrashtachari ko dost banaate ho,
Kyu usko badhaava dete ho,
Kya mazaa aata hai gandhiji ki noto ka apmaan karke!
Gandhiji ne sacchai k sahare desh ko azaad kiya,
Badle me sirf itna maanga
Sacchai ka saath!
Bhrashtachar karne se pehele itna zarur sochiyega
Jis insaan ne sachaai dikhate hue aakhe band ki hai,
Aaj unka galat raah par upyog ho raha hai!

Tuesday, November 3, 2015
Topic(s) of this poem: corruption
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 07 January 2016

Wah wah bahut sahi kaha aapne...10

0 0 Reply
Mithil Doshi 03 November 2015

Vey true great lines n representated in very good manner.!!

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success