Black Matters: Keith S. Wilson After D.H. Lawrence, A Poem In Hindi/Urdu Translation Poem by Ravi Kopra

Black Matters: Keith S. Wilson After D.H. Lawrence, A Poem In Hindi/Urdu Translation



kaala padarth, kaali hasiyat

kya ye zaroori hai
k main tum ko bataaooN
k hum bhi is duniya main rehtay haiN?

jhonka khaati aaee neeli, safed roshni,
chillatay swarg-dootoN ki tarah,
police aaeee muje tung karnay k liyay.

hota hai ye sub aisay
kyon k kaala padarath asal main nahin hai,
samjo ye fooloN ka barood hai
jo hamaari nazar se door hai

ek keeDay main hai
jo saDak par sookh kar
kish-mish bun jaata hai

ye ek aadmi main hai
jo marzi se
bol nahin paata hai

chup rehta hai
moonh us ka bund kar diya jaata hai
parcHaae bana saans nahin le sakta hai

vo kuch nahin khota
abhimaan us main janam leta hai
aur abhimaan main mar jaata hai

main is parcHaaee ko sunta hoon
ye hamaari hatheli peetanay ki teekhi si awaaz hai
jo hum dekh nahin paatay

kain is ka matlab jaantay hain:
roshni kaisay kaalay padarth ke nazdeek
muD kar raasta doosri taraf bana leti hai

aur fir bhi hum
is ka prabha-mandal
dekh nahin paatay

is k baavjood bhi
k main nay tumain saaf saaf
bata diya hai k vo kahaN hai

- -


Black Matters
Keith S. Wilson
after D.H. Lawrence

shall i tell you, then, that we exist?
there came a light, blue and white careening.
the police like wailing angels
to bitter me.
and so this:
dark matter is hypothetical. know
that it cannot be seen
in the gunpowder of a flower,
in a worm that raisins on the concrete,
in a man that wills himself not to speak.
gags, oh gags.
for a shadow cannot breathe.
it deprives them of nothing. pride
is born in the black and then dies in it.
i hear our shadow, low treble
of the clasping of our hands.
dark matter is invisible.
we infer it: how light bends around a black body,
and still you do not see black halos, even here,
my having told you plainly where they are.

Saturday, June 6, 2020
Topic(s) of this poem: humanity
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success