** Chalee Hu ** Poem by Syed Anwar Yarkhan Jilani

** Chalee Hu **

Rating: 5.0


Lootane ko Khwaja pe tan-man chalee hoo,
Sakhee aaj banker mai dulhan chalee hoo,
Zamane ki nazaray hai jis der ki janib
Oosee ki taraf mai suhagan chalee hoo,
Jaha badeshah ho ne sir ko jhukaya
Oose der ki banker mai jogan chalee hoo.

Neegahay milay to nazer aaoo mai bhi
Agar samana ho tow shermaoo mai bhi,
Meri bhi tammana hai oos der pe jakay
Kabhi khalee daman ko phalaoo mai bhi,
Adhoora ager mera singhar hai tow
Chuneriya may lekar mai darpan chalee hoo.

Toojhay janti hoo toojhay manti hoo
Aakidat nahi tow eebadat nahi hai,
Meri khoeesho ki toojhay bhi khaber hai
Agar haat oothe tow rahmat nahi hai,
Ghanee chaoo teri zarurat nahi hai
Kadee dhoop hoday mai jogan chalee hoo.

Teray baad jina teray baad marna
Bajuz is ke koee aziyat nahi hai,
Oosee ne tujhe apna mahboob mana
Jisay is zamanay ki chahat nahee hai,
Jaha teri yadow ha saya tha mujh per
Wahi se mai karnay ko darshan chalee hoo.

Jaha mujhko duniya nay chodha tha Khwaja
Jaha sab nay moo mujh se mooda tha Khwaja,
Meray dil ke sheeshay ko adna samajkar
Jaha meray apnow nay todha tha Khwaja,
Oosee modh per aakeli khadi thee
Oosee modh say mai abhagan chalee hoo.

Ye duniya tow bairee hai bairee rahegi
Yehi goongay bairow ki baatay sunegi,
Mager mera eeman kahta hai Khwaja
Jo mai kah rahi hoo kabhi ye kahay gee,
Meray saare jasbay nichawer hai tum per
Tumhay maan kar apna sajan chalee hoo.

Agar mai hoo Anwar tow sarkar tum ho
Agar mai hoo khowabida tow bedar tum ho,
Agar meray daman may kuch bhi nahi hai
Zamana khayga naadar tum ho,
Pasaray hooaa khali daman chalee hoo
Sajen ke liye ghar se sajan chalee hoo.

COMMENTS OF THE POEM
Shahzia Batool 08 September 2013

aqeedat nahee to ibaadat nhi he....kammaal lines! ! !

0 0 Reply
Free Bird 04 May 2013

mujhay yeh bohot achi lagi hai! ! boht achii hai ;)

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success